योगदान देने वाला व्यक्ति

1 दिसंबर 2009

rest part of the story

Manisha ne jaldi se trey mai cup rakhe .chai dali n dhikla plates mai dal hi rahi ki awaz aayi k madem.......... kitni der aor lagaogi ............
dil to kiya manisha ka ki kah de ki mai koi nokrani nhi hu jo hukm ki tamil karoo .but wo ek bhartiy nari thi pati chahe jo bhi kahe jo bhi kare usko karna hota tha .
man mai na jane kitni hasrate ,armaan hote hai bas sab pi kar rah jana hota .......
Diziy madem!........ mai le chalti hu ray.shaily ki awaz sunkar usne sir upper uthaya n ek nakli muskan chehre par lakar boli .........nhi nhi .......shaily ji aap hamari guest hai ... office mai aap sir ki sec hai to yaha ghar par mai ....... aap chaliy mai aati hu
NA NA kahne k bawzood shaily ne trey uthayi n chali gyi ..... uska man nhi kiya ki woh bhi jakar chai piy ..... tabhi awaz aayi are tum kaha rah gyi ......
Dheere dheere kadamo se chalte chalte ... manisha pahuch gyi .drawing room ....... samne ek housing society ka plan tha ....... shaily tumko kon sa pasand hai
abhi pasand kar lo bad mai mat kahna k sir aapne hame ghar nhi dilwaya
kudh kar rah gyi manisha .......... kitna pyar umar raha hai maharani par ..bhi maine bhi kaha tha k janam .hamara bhi ek ghar hoga na apna .bilkul apna .......... tab tunak kar bole they k tee papa ne jo paise diye hai na dahej mai unse kharid kar dunga .........
ab y plan kaha se aa gya n kiska ......
utsukta se dekhti rahi par poocha kuch bhi nhi ........ tabhi call bell bazi ........ ek bahut hi sajjan se dikhayi dene wale purush apni patni samet aaye they ...... namaste karte hue usne unko bethne k liy aamantrit kiya ... .
par unhone aate hi manisha ki hatho mai ek mithai ka dibba dete hue kaha k mubarak ho .madem aap is housesociety ki malkin ban gyi .....wo hairani se idher udher dekhti rahi .kuch samzh nhi aaya .
kaha gya uska sapna ..bhul gyi thi woh to ki usko bhi ek apne sapno ka ghar chahiye ........
tabhi husband ne pass akar hath pakar kaha ............
mubarak ho land lady ........... lo apne ghar k kagaz ......... jaldi hi hamari jameen par ghar ban ne shuru ho jayege ........... charo taraf flats n bich mai tumhara alishaan sa bangla ........ maine gaon ki zameen par jo ab highway par aa gyi hai ek housesociety ka plan approove karaya hai .....
manisha ki aankhe bhar aayi ......... kya kahe kya nakahe
uska ghar apna ghar
......sabko k you kahte kahte bhi woh sahaj nhi rah pa rahi thi ........
y bat usko pahle pata hoti to man ka kona itna rikt to na hota ....
aakhir kyo ek purush mukhote pahan kar stree par ahsan karta hai
usko sab khushiya deta hai par ahsan karke ....................................... .................. end

2 टिप्‍पणियां:

बेनामी ने कहा…

After looking into a number of the blog posts on your web site, I truly like your technique of
writing a blog. I saved as a favorite it to my bookmark website list
and will be checking back in the near future.
Please check out my web site as well and let me know your opinion.


Also visit my blog post; insomnia mixtape
Stop by my web site : insomnia 3rd trimester

बेनामी ने कहा…

Thanks for sharing your info. I really appreciate your efforts and I will be waiting
for your further post thank you once again.

My webpage :: toenail fungus treatment