योगदान देने वाला व्यक्ति

21 अक्तूबर 2009

story

aaj fir manisha bahut udas hai. kal tak jo apna tha ek pyara sa sapna tha aaj us sapne ne kah diya k
tumhari jarurat nhi kitna bura bol gya na uska sapna.... manisha ne usko ji jan ne chaha .bahut vishwas kiya ..kya kya nhi saha . badle mai aaj usko kya mila kuch bhi nhi .....man udas hai aankhe aviral bah rahi hai mano kisi nadi par banaya gya bandh aaj barso bad apni seema ko langh gya ..mand sheetal pawan bhi usko chubne lagi. usne dheere se sath parhi shawl ko uthaya aor kandhe par dal diya ..aaj sardi bahut thi par usko jaise sardi mai bhi pasine ka aabhas sa ho raha tha .sham ka antim pahar tha ..roz ki tarah thi ye sham bhi ..kaise saj sawar kar apne sapne ka itnzaar karti thi woh?.............. kitni bar phone karti thi k ....kab aaoge ...kitni der laga di tumne ...chai ka pani rakh doo ...aate hue nathu halwai se samose lete aana ....
aaj jaise sham hui hi kyu ??? dil ro raha tha k kya hoti hai ek aorat ki jindgi .....zamana chahe kitna badal jaye ek purush kabhi nhi badalta ,sach kahti thi shivani ...k aadami ki jat kutte ki jat hoti hai ..jab tak haddi,boti milti rahe dum hilata rahta hai ... jaise hi y sab dena chod do uska gurrana shuru ho jata hai ... par uska sapna to aisa nhi lagta tha ... kitne pyar ke wade kiye they chandni rato mai .. baho mai bahe dalkar jab woh pyar karta tha lagta tha k sari kaynat ruk si gyi hai .. aaj ..kaynat dorne kyu lagi hai ... bas sochte sochte .manisha ki aankh lag gyi ... achanak callbell ki awaz chikh chikh kar usko jagane lagi .harbari mai uthi to uska pair table se takra gya n waha rakha saman neeche gir gya ..........uska ek pair darwaze ki taraf tha k door khola jaye to ek pair table ki taraf k jaldi se saman uthaya jaye taki dant na pare k kitne care less ho tum .kuch kam to sahi se kiya karo .............. tabhi bell fir zor se chikhi ..usne door open karne mai apni bhalai samzhi ............ are darling itni der kyu kardi
kaha thi ham kitni der se yaha bell baza rahe hai .....
manisha ko yakin nhi hua k y kya ho gya woh to kaha soch rahi thi k usko aaj kahi ....
tabhi peeche se sir ji ki junior aayi ......'bhabhi ji namaste,aaj sir ne kaha k hamari wife ka mood thik nhi hai chalo aaj unse dhokla banwa kar khaya jaye " dil dhak se rah gya ..oh to ab ye sir ji ghar ki bate bhi share karte hai ." are shailey bibiyo ko kam mai lagaye rakho to sahi rahti hai .zara khali waqt mila nhi wo sar par nachti hai " aansuo ko chipati si manisha kitchen mai aa gyi ..jaldi se khaman dhokla ka pkt nikala n sanche mai dal kar microwave mai rakha n gas par chai banane lagi ..........drawing room se aati hansi usko andar tak chir rahi thi ..........ek purush kitne mukhote pahan kar rahta hai .............................
to be cont........................

19 अक्तूबर 2009

MAA

MAAAAAAAAA tum kaisi ho? mai janti hu k tum ham sabko bahut yaad karti ho ...par kya karoo aaj mai maa hu to apne ghar ki sab zimmedariya nibhate nibhate mai jab thakne lagti hu to tumhara chehra mere samne aa jata hai k kaise tum aaj bhi bina thake kam karti ho .....tum kaha karti thi na kam pyare honde ne cham nhi .................haan sare to khuri sarhi changi ..................to bas .aaj mai tumko jee rahi hu apne ander .......jab bachche kabhi muzhe nhi sunte . husband busy rahte hai to muzhe tumhara chehra yaad aata hai k kaise tumne apna waqt guzara hoga jab ham sab bahane apne ghar mai aa gyi n bhai apne gharo mai busy ............kya tumko man ka kona soona nhi laga .................????????? aaj jab tumhari aankho ko dekhti hu to pata chalta hai k kitna akelapan .soonapan hai tumhare ander .......bheed mai akeli meri maa ..............aj akeli par fir bhi charo aor logo ki bheed ...mai janti hu aaj tumhari aakhri seedi par ho apni life ki ......n mai tumko jakar kuch kah bhi nhi pa rahi ...........maine tumko hamesha sataya ....dukh diya ........ maine woh sab kabhi nhi kiya jo tumne chaha .aaj bhi maa bankar bhi apne hisab se jina chaha ...... shayad y mera vidroh hoga k aapne apni marzi se life nhi ji .to ham to jiye ................. aaj mai maa ban gyi hu n tumko jab bachche ki tarah kahti hu k pls aisa mat kiya karo .tab to kah dalti hu but bad mai akele sochti hu k mere bachche bhi kal muzhe aise hi kahege ............ mai aaj tak aapse man ki bat nhi kah paii .......k mai tumse bahut pyar karti hu tumko khone ki kalpana se bhi darti hu ..... kal jab suna k tum thik nhi ho ??????? to tumko phone kiya but tumne kitne confidence se bat ki k mai thik hu ........ wah !! maa .................beti preshaan na ho .so tum apna gam chipana bhi bhul gyi .sach ham sab bahane ek sath tumhare sath kuch bitana chahti hai but asambhav hai y sab .......... sabke apne ghar apni zimmedariya ........fir ............kya kare .betiya itni parayi kyu ho jati hai .......k anmit paraw par maa k pas bhi nhi ja pati ............mai bahut kamzor ho gyi hu tumhari bimari ki bat sunkar ..............mera man bahut udas ho gya hai .......pls mat jao mere man k kone ko soona karke .........................

12 अक्तूबर 2009

sangam

ye man ka kona bhi mere ghar ke ek kone sa hai sara ghar mera hai par ek kona bhi aisa nhi jaha mai apne se akele mai kuch bat kar saku ..........charo taraf saman ki bheed ...........aise hi mere man ka kona hai jaha mere apne liy waqt nhi har taraf sabki fikr ...............kya kabhi mil payege mere ghar aor man ke kone kabhi ???????

10 अक्तूबर 2009

>man ki ganth jab rishto mai parh jaye to jaldi se khol leni chahiy ....... warna ganth mazboot hoti jati hai n rishte kam zor ........n akela hota hai man ka ek kona

1 अक्तूबर 2009

Log jab rooth gaye mujh se to maloom howa faraz.Aik HaaRaY howe insan ke qeemat kia hay..