योगदान देने वाला व्यक्ति

19 अक्तूबर 2009

MAA

MAAAAAAAAA tum kaisi ho? mai janti hu k tum ham sabko bahut yaad karti ho ...par kya karoo aaj mai maa hu to apne ghar ki sab zimmedariya nibhate nibhate mai jab thakne lagti hu to tumhara chehra mere samne aa jata hai k kaise tum aaj bhi bina thake kam karti ho .....tum kaha karti thi na kam pyare honde ne cham nhi .................haan sare to khuri sarhi changi ..................to bas .aaj mai tumko jee rahi hu apne ander .......jab bachche kabhi muzhe nhi sunte . husband busy rahte hai to muzhe tumhara chehra yaad aata hai k kaise tumne apna waqt guzara hoga jab ham sab bahane apne ghar mai aa gyi n bhai apne gharo mai busy ............kya tumko man ka kona soona nhi laga .................????????? aaj jab tumhari aankho ko dekhti hu to pata chalta hai k kitna akelapan .soonapan hai tumhare ander .......bheed mai akeli meri maa ..............aj akeli par fir bhi charo aor logo ki bheed ...mai janti hu aaj tumhari aakhri seedi par ho apni life ki ......n mai tumko jakar kuch kah bhi nhi pa rahi ...........maine tumko hamesha sataya ....dukh diya ........ maine woh sab kabhi nhi kiya jo tumne chaha .aaj bhi maa bankar bhi apne hisab se jina chaha ...... shayad y mera vidroh hoga k aapne apni marzi se life nhi ji .to ham to jiye ................. aaj mai maa ban gyi hu n tumko jab bachche ki tarah kahti hu k pls aisa mat kiya karo .tab to kah dalti hu but bad mai akele sochti hu k mere bachche bhi kal muzhe aise hi kahege ............ mai aaj tak aapse man ki bat nhi kah paii .......k mai tumse bahut pyar karti hu tumko khone ki kalpana se bhi darti hu ..... kal jab suna k tum thik nhi ho ??????? to tumko phone kiya but tumne kitne confidence se bat ki k mai thik hu ........ wah !! maa .................beti preshaan na ho .so tum apna gam chipana bhi bhul gyi .sach ham sab bahane ek sath tumhare sath kuch bitana chahti hai but asambhav hai y sab .......... sabke apne ghar apni zimmedariya ........fir ............kya kare .betiya itni parayi kyu ho jati hai .......k anmit paraw par maa k pas bhi nhi ja pati ............mai bahut kamzor ho gyi hu tumhari bimari ki bat sunkar ..............mera man bahut udas ho gya hai .......pls mat jao mere man k kone ko soona karke .........................

कोई टिप्पणी नहीं: